Hum Likhthey Gaye--.©-RU

Hum Likhthey gaye, likhthey gaye....

Zindagi Bhar  Doosron ki kahani  likhthey gaye.....||

Bhari Jaan Humari Kisine laal,neele tho kabhi kale rang se...

Hum  Har rang mein likhthey gaye |

Maano Jaise koi Sauda tha, Likhna aab  mera vaajood tha

Isi pehchaan mein hum likhthey gaye...|

Zindagi Bhar  Doosron ki kahani  likhthey gaye .........||

    Chaahat ki bahoon mein ghire tho kabhi dard ki aag mein liptey

har ehsaas mein hum likhthey gaye...|

Khooshi ki raag ho yaa gum kaa geet

har sur mein hum likhthey gaye....|

Zindagi  bhar doosron ki kahani likhthey gaye....||

Naa thi ko khwaish Naa thi koi farmaish...

Har din ka swagath ya hoon shaam ki rookhsat

itihaas ke kaayi panno ko hum likhthey gaye...|

Zindagi bhar hum doosaron ki kahani likhthey gaye...||

   Jaani Nahi mere seene mein bhi dil hain, an suni rahi uski zoobaan

Kabhi kisi ke haathon jo khilona bane rahe tho kabhi kisi ke dil ke sirhane rahe...

Dhadkano se toothey-joodthey chale gaye..|

Zindagi bhar doosron  ki kahani likhthey gaye...||

   Aachanak  ek subah kuch aisa hua , dil mein mere naya jo ehsasa pana

oonki haathon ki garmi jo chooaa mere seene mein bhi kuch likhne ki hulchul hooaa....

Aab jaagi mujhme ek naayi subah, har oomang se aab mera dil jo bhara....

kwaish  booland hui apni is pyaar ki kahan likhon....

khambaqt zindagi ab aakhari saans lene laga tha...

Naseeb ko kya aab mein kosu...

mein hoon syahi* mujhe kabhi na khabi khatam hona hin tha....

Zindgai bhar doosaron ki kahani likhtha jaa rahan tha....|||

 

*means INK

Roshini